10 Feb 2007

itihaas

woh mrigtrishna kaa mrig hai jeeta jaagta sa,
meri pyas khud bujhaana chaahta hai..
bhaag raha hai door mujhse par,
meri nikat-ta kaa ehsaas chaahta hai...

barson beete dooriyon mein..
ab parchhai bhi gum ho jaati hai..
mann ki aahat ko sunkar muskaata thha..
ab aahein bhi thhak-kar,dum tod jaati hain..

banjar maru-bhoomi mein naya ankur foota,
kastur ki surabhi ne mrig ko chhooaa hai ..
raahi ke sang chal pada hai woh,
ab pyaas ki chinta nahi, bhaagirathi kaa janam hua hai..

3 comments:

Anonymous said...

abe tere words ka usage achcha hai par meaning clear nahin ho raha hai...
mrig trishna ka mirg hai jeeta jagta sa
mrig trishna main mrig ko pyaas lagti hai woh ter i pyaas ko kyon bujhayega.....

aur iska naam itihaas kyon hai...

-saket

dukhi kutta said...

kuchch meaning clear hua....
aisa lag raha hai mrig is your image from the past....
and you have found yourself again....
right??

thats why its itihaas---
par bahut abstract ho gaya hai

Unknown said...

abe teri kavita se main bahut dukhi ho gaya hoon....lagta hai ab chicken khaana padega aur daaru peena padega...


biju..