28 Dec 2006

chhoti kavita

raat ki chaadar faili hai taaro ki odhni odh ke..
bikhre baadal kaalikh se, pute hue hain..
sab kuch thahar saa jaata hai jaise praan kheech liye gaye hon tan se..
duur lekin ek aasha ki kiran nazar aati hai..

fir bhor footi hai, nit naye armaano kaa kaafilaa lekar..
man kyo andhere ko dhoondhta hai ujaalo mein..
shaayad roshni dil mein jo tasveer banaati hai..
bhari dupahri bhi ghor andhkaar kaa ehsaas karaati hai...

din se raat ke safar ka dekho adbhut drishya ...
sandhya ki vela ravi ki parchhaai ban jaati hai..
chhookar guzri hai aag ke gole ko,
jalne kaa maza naa mila, sitaaro ki timtim uspar khilkhilaati hai...